logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - syed musayyab rizvi - 2012

Khusk gardan meri kat gayi Aah pani na laya koi

Jis ghadi janibe karbala
Zairo ka gaya qafila
Roz ae sheh pe aisa
Jaise kehte hai shah e huda

Khusk gardan meri kat gayi
Aah pani na laya koi

Ye sitamgar se kehti rahi alqama
Tehr ja do ghadi aey shaqi tehr ja
Itni garmi hai jane de istak zara
Mere sahil se thodi si thandi hawa
Pher di usne mujhpe chri

Aah pani na laya koi

Pyas par apni mujh ko nahi tha gila
Mera besheer bhi kya khataa kaar tha
Meri aaghosh me aah bacha mera
Teer khakar humkte hue sogaya
Boli nanni si uski hassi

Aah pani na laya koi

Jis ko kehte hai khatoon baaghe jinna
Khud mohammed ne jisko kaha apni jaan
Zeenat e pardae kirdigaar e jahan
Leke pehlu me toot hui pasliyan
Khuld se meri maan agayi

Aah pani na laya koi

Bad e shaam e ghariban hui shab ayan
Dhundti mujh ko ayi wo girya kuna
Sehm kar mujh se boli wo nanhi si jaan
Chin gayi dekh baba meri baaliyan
Meri bachi bhi pyasi rahi

Aah pani na laya koi

Har qabipe se afraad e kuch aan ke
Apne pyaro ke lashe uthane lage
Senkdo ghode tab ran me laye gaye
Sirf ek lash ko rond ne k liye
Momino wo meri lash thi

Aah pani na laya koi

Asr se mera ek laal beemar tha
Toq bhi usko wazni pinha ya gaya
Haal durro ne uska kuch aisa kiya
Mera beta jawaani me bhuda hua
Uski zanjeer jalti rahi

Aah pani na laya koi

Mao behno ki us hasrato yaas ko
Pyaas bacho ki umeed o ahsaas ko
Mere baba ki tasveer o almaas ko
Mar dala gaya mere abbas ko
Mashq bhi teer se chid gayi

Aah pani na laya koi

HomebookmarkmybayaazSetting